sau tarah ka chhoD kar aaram tere waste
sau tarah kā chhoḌ kar ārām tere vāste
kū-ba-kū phirtā huuñ ai ḳhud-kām tere vāste
ishq ne tere mujhe is rañg ko pahuñchā diyā
muñh se har ik ke sunā dushnām tere vāste
mahr ke mānind khātā charḳh phirtā huuñ ḳharāb
sub.h se ai mah-jabīñ tā-shām tere vāste
ġhuncha o gul le rahe haiñ sāqiyā majlis haiñ chal
shīshe mere vāste aur jaam tere vāste
aa banī hai ab 'nisār'-e-nā-tavāñ kī jaan par
dekhnā Tuk ai dil-e-nākām tere vāste
sau tarah ka chhoD kar aaram tere waste
ku-ba-ku phirta hun ai KHud-kaam tere waste
ishq ne tere mujhe is rang ko pahuncha diya
munh se har ek ke suna dushnam tere waste
mahr ke manind khata charKH phirta hun KHarab
subh se ai mah-jabin ta-sham tere waste
ghuncha o gul le rahe hain saqiya majlis hain chal
shishe mere waste aur jam tere waste
aa bani hai ab 'nisar'-e-na-tawan ki jaan par
dekhna Tuk ai dil-e-nakaam tere waste
- Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 90)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.