saudagari-e-gham mein KHasare nahin hote
saudāgarī-e-ġham meñ ḳhasāre nahīñ hote
haañ un ko jo hālāt se haare nahīñ hote
thoḌī bhī musībat ho to ye dhyān meñ rakhnā
sailāb meñ dariyā ke kināre nahīñ hote
chehre pe likhā hotā hai haañ ho ki nahīñ ho
āñkhoñ se jo āñkhoñ ke ishāre nahīñ hote
bastī meñ chalo kūcha-o-bāzār meñ dekheñ
ghar baiTh ke duniyā ke nazāre nahīñ hote
har shahr meñ hote haiñ magar jitne yahāñ haiñ
utne to kahīñ rāj-dulāre nahīñ hote
ye soch ke hī dast-e-talab 'hosh' baḌhānā
kuchh log hamāre bhī hamāre nahīñ hote
saudagari-e-gham mein KHasare nahin hote
han un ko jo haalat se haare nahin hote
thoDi bhi musibat ho to ye dhyan mein rakhna
sailab mein dariya ke kinare nahin hote
chehre pe likha hota hai han ho ki nahin ho
aankhon se jo aankhon ke ishaare nahin hote
basti mein chalo kucha-o-bazar mein dekhen
ghar baiTh ke duniya ke nazare nahin hote
har shahr mein hote hain magar jitne yahan hain
utne to kahin raj-dulare nahin hote
ye soch ke hi dast-e-talab 'hosh' baDhana
kuchh log hamare bhi hamare nahin hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.