saubaton ka safar hai safar tamam to ho
sa.ūbatoñ kā safar hai safar tamām to ho
Thahar bhī saktā huuñ lekin koī maqām to ho
jhulas rahā hai badan to jhulaste rahne de
tilism dhuup kā TūTegā pahle shaam to ho
hayāt zā.iqa apnā badal bhī saktī hai
tire laboñ kī halāvat kā koī jaam to ho
tujhe bhī jaanā paḌegā sarāb ke pīchhe
kabhī hamārī tarah tū bhī tishna-kām to ho
maiñ intisāb-e-nazar tere naam kar dūñgā
tirī kitāb-e-tamannā meñ merā naam to ho
saubaton ka safar hai safar tamam to ho
Thahar bhi sakta hun lekin koi maqam to ho
jhulas raha hai badan to jhulaste rahne de
tilism dhup ka TuTega pahle sham to ho
hayat zaiqa apna badal bhi sakti hai
tere labon ki halawat ka koi jam to ho
tujhe bhi jaana paDega sarab ke pichhe
kabhi hamari tarah tu bhi tishna-kaam to ho
main intisab-e-nazar tere nam kar dunga
teri kitab-e-tamanna mein mera nam to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.