Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sawad-e-sham-e-safar ka malal kuchh bhi nahin

Arif Kukravi

sawad-e-sham-e-safar ka malal kuchh bhi nahin

Arif Kukravi

MORE BYArif Kukravi

    savād-e-shām-e-safar malāl kuchh bhī nahīñ

    karūñ maiñ arz bhī kyā arz-e-hāl kuchh bhī nahīñ

    dil-e-hazīñ bayāñ laakh kījiye bhī to kyā

    agarche us ko hamārā ḳhayāl kuchh bhī nahīñ

    balā aarzū paale hue hai dil ye hanūz

    is aarzū ke liye māh-o-sāl kuchh bhī nahīñ

    nishān-e-ḳhalvat-e-shab dil pe naqsh hai lekin

    fareb-e-ishq ham ko malāl kuchh bhī nahīñ

    ḳhamoshiyāñ bhī bahut kuchh bayān kartī haiñ

    bayān-e-ishq ko lafz-o-ḳhayāl kuchh bhī nahīñ

    suneñge aap bhī ik din dil-e-shikasta se

    uruuj kuchh bhī nahīñ hai zavāl kuchh bhī nahīñ

    savāl zehn meñ yuuñ to hazāroñ haiñ 'ārif'

    magar ye kyā hai ki us se savāl kuchh bhī nahīñ

    sawad-e-sham-e-safar ka malal kuchh bhi nahin

    karun main arz bhi kya arz-e-haal kuchh bhi nahin

    dil-e-hazin ka bayan lakh kijiye bhi to kya

    agarche us ko hamara KHayal kuchh bhi nahin

    bala ki aarzu pale hue hai dil ye hanuz

    is aarzu ke liye mah-o-sal kuchh bhi nahin

    nishan-e-KHalwat-e-shab dil pe naqsh hai lekin

    fareb-e-ishq ka hum ko malal kuchh bhi nahin

    KHamoshiyan bhi bahut kuchh bayan karti hain

    bayan-e-ishq ko lafz-o-KHayal kuchh bhi nahin

    sunenge aap bhi ek din dil-e-shikasta se

    uruj kuchh bhi nahin hai zawal kuchh bhi nahin

    sawal zehn mein yun to hazaron hain 'arif'

    magar ye kya hai ki us se sawal kuchh bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now