sawad-e-shab ghanimat hai sitara jagmagata hai
savād-e-shab ġhanīmat hai sitārā jagmagātā hai
diloñ kī anjuman meñ isti.ārā jagmagātā hai
koī tūfān aa.e paar lagtī hai mirī kashtī
añdheroñ meñ bhī dariyā kā kinārā jagmagātā hai
basāyā hai kisī ne merī āñkhoñ meñ dhanak-manzar
koī bhī kaam ho us kā ishārā jagmagātā hai
zamāne ke diye ik hī diye se jalte haiñ lekin
bisāt-e-fard-e-vāhid kyā idāra jagmagātā hai
suhāne mausamoñ meñ kis kī rangat kā hai ye partav
dil-e-shādāb par kis kā ijārā jagmagātā hai
ḳhulūs-o-sādgī hai phūñs ke chhappar haiñ bastī meñ
ta.assub kī havā mat do sharārā jagmagātā hai
khaḌe haiñ log ahl-e-zar ke aage sar jhukā.e kyoñ
'azīm' apne ḳhudā kā hī sahārā jagmagātā hai
sawad-e-shab ghanimat hai sitara jagmagata hai
dilon ki anjuman mein istiara jagmagata hai
koi tufan aae par lagti hai meri kashti
andheron mein bhi dariya ka kinara jagmagata hai
basaya hai kisi ne meri aankhon mein dhanak-manzar
koi bhi kaam ho us ka ishaara jagmagata hai
zamane ke diye ek hi diye se jalte hain lekin
bisat-e-fard-e-wahid kya idara jagmagata hai
suhane mausamon mein kis ki rangat ka hai ye partaw
dil-e-shadab par kis ka ijara jagmagata hai
KHulus-o-sadgi hai phuns ke chhappar hain basti mein
tassub ki hawa mat do sharara jagmagata hai
khaDe hain log ahl-e-zar ke aage sar jhukae kyon
'azim' apne KHuda ka hi sahaara jagmagata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.