sawal chhoD ki haalat ye kyun banai hai
savāl chhoḌ ki hālat ye kyuuñ banā.ī hai
use na sun jo kahānī sunī-sunā.ī hai
patañgā sham.a pe martā hai kyā burā.ī hai
use kisī ne bhī rokā hai jis kī aa.ī hai
hañse haiñ gul na kalī koī muskurā.ī hai
huzūr kaise ye kah duuñ bahār aa.ī hai
zarūr koī alāmat qazā kī paa.ī hai
mujhe azīzoñ ne sūrat tirī dikhā.ī hai
na jaane hijr kī raat aur mirī siyah-baḳhtī
kahāñ kahāñ ke añdhere sameT laa.ī hai
lahad se kab uTheñ dekho musāfirān-e-adam
safar hai duur kā raste meñ niiñd aa.ī hai
asiir kyā kaheñ sayyād ye to samjhā de
qafas meñ bū-e-chaman pūchhne ko aa.ī hai
mujhe na chheḌ qayāmat hai merī aahoñ meñ
ḳhudā rakhe tirī mahfil sajī-sajā.ī hai
sawal chhoD ki haalat ye kyun banai hai
use na sun jo kahani suni-sunai hai
patanga shama pe marta hai kya burai hai
use kisi ne bhi roka hai jis ki aai hai
hanse hain gul na kali koi muskurai hai
huzur kaise ye kah dun bahaar aai hai
zarur koi alamat qaza ki pai hai
mujhe azizon ne surat teri dikhai hai
na jaane hijr ki raat aur meri siyah-baKHti
kahan kahan ke andhere sameT lai hai
lahad se kab uThen dekho musafiran-e-adam
safar hai dur ka raste mein nind aai hai
asir kya kahen sayyaad ye to samjha de
qafas mein bu-e-chaman puchhne ko aai hai
mujhe na chheD qayamat hai meri aahon mein
KHuda rakhe teri mahfil saji-sajai hai
- Book : Rashq-e-Qamar (Pg. 95)
- Author : Qamar Jalalvi
- Publication : Shaikh Shokat ali and Sons
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.