sawal-e-wasl pe wo but nufur humse hua
savāl-e-vasl pe vo but nufūr ham se huā
baḌā gunāh dil-e-nā-subūr ham se huā
jo kuchh huā na thā rabb-e-ġhafūr ham se huā
kiye gunāh bahut kam qusūr ham se huā
firāq-e-yār meñ haañ haañ zarūr ham se huā
zarūr sabr dil-e-nā-subūr ham se huā
jafā ke shikve pe un kī vo nīchī nīchī nazar
vo haath bāñdh ke kahnā qusūr ham se huā
umiid kahte haiñ kis ko yaqīn hai zāhid
ga.e bahisht meñ ham ishq-e-hūr ham se huā
khiñchā ba-sūrat-e-ḳhanjar banā rag-e-gardan
vo jitnā paas rahā utnī duur ham se huā
gunāhgār na hote to afv kyā hotā
ilāhī tere karam kā zuhūr ham se huā
tumhāre gāloñ pe kis din thā chaar chullū ḳhuuñ
shahīd vo haiñ ki chehre pe nuur ham se huā
ye kah rahe haiñ kisī kī nashīlī aañkh ke tiir
ki chashm-e-zaḳhm-e-jigar meñ surūr ham se huā
kahe to jā.iye tark-e-butāñ kī ai vaa.iz
huzūr ham se ye hogā huzūr ham se huā
hamīñ to toḌte haiñ jaam mohtasib sach hai
kisī kā shīsha-e-dil chūr-chūr ham se huā
ḳhatā muaaf ye jī meñ hai le ke bosa-e-zulf
tumhīñ se arz kareñge qusūr ham se huā
hayā meñ shoḳhī sikhā.ī tumheñ karam meñ sitam
nigah meñ naaz adā meñ ġhurūr ham se huā
sharāb pī hai ba-yād-e-ruḳh-e-malīh-e-butāñ
ye aab rashk-e-sharāb-e-tahūr ham se huā
salīqa ham ne batāyā sitamgarī kā tumheñ
tamīz ham ne sikhā.ī shu.ūr ham se huā
nikāl laa.e butoñ ko hazār pardoñ se
jahāñ meñ aam tamāshā-e-tūr ham se huā
kamāl ye hai ki insāñ bane vo but 'rāsiḳh'
ye maanā rashk-e-parī rashk-e-hūr ham se huā
sawal-e-wasl pe wo but nufur hum se hua
baDa gunah dil-e-na-subur hum se hua
jo kuchh hua na tha rabb-e-ghafur hum se hua
kiye gunah bahut kam qusur hum se hua
firaq-e-yar mein han han zarur hum se hua
zarur sabr dil-e-na-subur hum se hua
jafa ke shikwe pe un ki wo nichi nichi nazar
wo hath bandh ke kahna qusur hum se hua
umid kahte hain kis ko yaqin hai zahid
gae bahisht mein hum ishq-e-hur hum se hua
khincha ba-surat-e-KHanjar bana rag-e-gardan
wo jitna pas raha utni dur hum se hua
gunahgar na hote to afw kya hota
ilahi tere karam ka zuhur hum se hua
tumhaare galon pe kis din tha chaar chullu KHun
shahid wo hain ki chehre pe nur hum se hua
ye kah rahe hain kisi ki nashili aankh ke tir
ki chashm-e-zaKHm-e-jigar mein surur hum se hua
kahe to jaiye tark-e-butan ki ai waiz
huzur hum se ye hoga huzur hum se hua
hamin to toDte hain jam mohtasib sach hai
kisi ka shisha-e-dil chur-chur hum se hua
KHata muaf ye ji mein hai le ke bosa-e-zulf
tumhin se arz karenge qusur hum se hua
haya mein shoKHi sikhai tumhein karam mein sitam
nigah mein naz ada mein ghurur hum se hua
sharab pi hai ba-yaad-e-ruKH-e-malih-e-butan
ye aab rashk-e-sharab-e-tahur hum se hua
saliqa hum ne bataya sitamgari ka tumhein
tamiz hum ne sikhai shuur hum se hua
nikal lae buton ko hazar pardon se
jahan mein aam tamasha-e-tur hum se hua
kamal ye hai ki insan bane wo but 'rasiKH'
ye mana rashk-e-pari rashk-e-hur hum se hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.