sawal kaise karun main is se jawab hai jo meri dua ka
savāl kaise karūñ maiñ is se javāb hai jo mirī duā kā
karegā kaise vo bevafā.ī mujhe yaqīñ hai mirī vafā kā
na is se milne kī hai tamannā na us ko paane kī aarzū hai
diyā mohabbat kā jal rahā hai jo jī meñ aa.e kare havā kā
jo bādaloñ par maiñ chal rahī huuñ to āsmānoñ ko chhū rahī huuñ
ki saath mere hī chal rahā hai vo haath thāme hue ghaTā kā
maiñ is ke sheroñ meñ Dhal rahī huuñ vo merā lahja badal rahā hai
maiñ chup rahūñ aur kahūñ na kuchh bhī yahī taqāza to hai hayā kā
bhulāne baiThī huuñ saarī duniyā dhaḌak rahā hai vo mere dil meñ
jo dūriyāñ haiñ samundaroñ kī vo fāsla hai bas ik sadā kā
sawal kaise karun main is se jawab hai jo meri dua ka
karega kaise wo bewafai mujhe yaqin hai meri wafa ka
na is se milne ki hai tamanna na us ko pane ki aarzu hai
diya mohabbat ka jal raha hai jo ji mein aae kare hawa ka
jo baadalon par main chal rahi hun to aasmanon ko chhu rahi hun
ki sath mere hi chal raha hai wo hath thame hue ghaTa ka
main is ke sheron mein Dhal rahi hun wo mera lahja badal raha hai
main chup rahun aur kahun na kuchh bhi yahi taqaza to hai haya ka
bhulane baiThi hun sari duniya dhaDak raha hai wo mere dil mein
jo duriyan hain samundaron ki wo fasla hai bas ek sada ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.