sawal karti hui raat ke alawa hai
savāl kartī huī raat ke 'alāva hai
ki mujh meñ koī mirī zaat ke 'alāva hai
ye ashk aur kisī 'ishq kī karāmat haiñ
ye maat aur kisī maat ke 'alāva hai
ye kaun kun kī haqīqat batā rahā hai mujhe
ye kis kā haath munājāt ke 'alāva hai
mujhe ḳhabar hai ki gardish meñ haiñ ye kaun-o-makāñ
magar yahāñ koī din raat ke 'alāva hai
ye aas paas kā saarā 'ilāqa hai ghāyal
ki dil kā ḳhitta mazāfāt ke 'alāva hai
ye andarūñ kī chamak hai ki hai yad-e-baizā
ki is meñ jo hai karāmāt ke 'alāva hai
sawal karti hui raat ke 'alawa hai
ki mujh mein koi meri zat ke 'alawa hai
ye ashk aur kisi 'ishq ki karamat hain
ye mat aur kisi mat ke 'alawa hai
ye kaun kun ki haqiqat bata raha hai mujhe
ye kis ka hath munajat ke 'alawa hai
mujhe KHabar hai ki gardish mein hain ye kaun-o-makan
magar yahan koi din raat ke 'alawa hai
ye aas pas ka sara 'ilaqa hai ghayal
ki dil ka KHitta mazafat ke 'alawa hai
ye andarun ki chamak hai ki hai yad-e-baiza
ki is mein jo hai karamat ke 'alawa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.