sawal us se hamara kahan nibah ka hai
savāl us se hamārā kahāñ nibāh kā hai
mutāliba hai magar sirf ik nigāh kā hai
hameshgī ke marāsim to dil ko raas nahīñ
ilaaj is kā vahī rabt gaah gaah kā hai
maiñ dīn-e-ishq meñ tauhīd kā jo qaa.il huuñ
to mo.ajaza ye tire husn-e-be-panāh kā hai
visāl-o-hijr se maiñ kis kā intiḳhāb karūñ
yahāñ pe ḳhud se mujhe ḳhauf ishtibāh kā hai
ḳhabar nahīñ hai abhī us kī kam-nigāhī ko
ki ek marhala ḳhud ye bhī rasm-o-rāh kā hai
mo.arriḳhoñ ko kisī aur par na shak guzre
ki mujh ko mārne vaalā mirī sipāh kā hai
sawal us se hamara kahan nibah ka hai
mutaliba hai magar sirf ek nigah ka hai
hameshgi ke marasim to dil ko ras nahin
ilaj is ka wahi rabt gah gah ka hai
main din-e-ishq mein tauhid ka jo qail hun
to moajaza ye tere husn-e-be-panah ka hai
visal-o-hijr se main kis ka intiKHab karun
yahan pe KHud se mujhe KHauf ishtibah ka hai
KHabar nahin hai abhi us ki kam-nigahi ko
ki ek marhala KHud ye bhi rasm-o-rah ka hai
moarriKHon ko kisi aur par na shak guzre
ki mujh ko marne wala meri sipah ka hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 681)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.