sawal ye hai kisi ki koi KHata bhi nahin
savāl ye hai kisī kī koī ḳhatā bhī nahīñ
charāġh kaise bujhā jab yahāñ havā bhī nahīñ
na jaane kaun use tūfāñ se paar kartā hai
mire safīne meñ tasvīr-e-nā-ḳhudā bhī nahīñ
tamām vaqt unheñ dekhne meñ biit gayā
jo baat kahne ga.e the use kahā bhī nahīñ
davā to ḳhair mirī muflisī kī nazr huī
lab-e-masīhā pe mere liye du'ā bhī nahīñ
jo maiñ matā’-e-ḳhudī se ḳharīd luuñ us ko
vo be-bahā hai magar itnā be-bahā bhī nahīñ
usī ko fāteh-e-manzil kā mil gayā e'zāz
jo sang-e-mīl kī sūrat kabhī chalā bhī nahīñ
vo mere zikr pe ye kah ke ho ga.e ḳhāmosh
bhalā nahīñ hai agar 'hosh' to burā bhī nahīñ
sawal ye hai kisi ki koi KHata bhi nahin
charagh kaise bujha jab yahan hawa bhi nahin
na jaane kaun use tufan se par karta hai
mere safine mein taswir-e-na-KHuda bhi nahin
tamam waqt unhen dekhne mein bit gaya
jo baat kahne gae the use kaha bhi nahin
dawa to KHair meri muflisi ki nazr hui
lab-e-masiha pe mere liye du'a bhi nahin
jo main mata’-e-KHudi se KHarid lun us ko
wo be-baha hai magar itna be-baha bhi nahin
usi ko fateh-e-manzil ka mil gaya e'zaz
jo sang-e-mil ki surat kabhi chala bhi nahin
wo mere zikr pe ye kah ke ho gae KHamosh
bhala nahin hai agar 'hosh' to bura bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.