sawere mein bhi haalat sham ki hai
savere meñ bhī hālat shaam kī hai
ye kaisī sub.h kaisī raushnī hai
havā ke qāfile so.e hue haiñ
ghane jangal meñ phailī ḳhāmushī hai
liye hāthoñ meñ tanhā.ī kā parcham
udāsī siskiyoñ se laḌ rahī hai
simaTnā ab nazar aatā hai mushkil
bahut bikhrī hamārī zindagī hai
nazar ke sāmne manzil hai lekin
masāfat phir bhī baḌhtī jā rahī hai
bahut hairat se takte haiñ sitāre
nadī jab sāhiloñ se kheltī hai
baras kar jā chukā hai abr-pāra
zamīñ se kaisī ḳhushbū aa rahī hai
talāsh-e-barg-e-gul hai us ko shāyad
jo titlī pañkh khole uḌ rahī hai
zamīñ oḌhe hue hai sar pe āñchal
ye jo qaus-e-quzah bikhrī huī hai
guzartā vaqt jo chāhe vo likkhe
kitāb-e-zindagī saada paḌī hai
yaqīnan aa gayā hai vaqt-e-āḳhir
diye kī lau jo itnī baḌh ga.ī hai
kisī tūfān kā hai pesh-ḳhema
samundar meñ jo itnī ḳhāmushī hai
agar ghar meñ nahīñ hai 'nūr' koī
to ye āvāz kaisī aa rahī hai
sawere mein bhi haalat sham ki hai
ye kaisi subh kaisi raushni hai
hawa ke qafile soe hue hain
ghane jangal mein phaili KHamushi hai
liye hathon mein tanhai ka parcham
udasi siskiyon se laD rahi hai
simaTna ab nazar aata hai mushkil
bahut bikhri hamari zindagi hai
nazar ke samne manzil hai lekin
masafat phir bhi baDhti ja rahi hai
bahut hairat se takte hain sitare
nadi jab sahilon se khelti hai
baras kar ja chuka hai abr-para
zamin se kaisi KHushbu aa rahi hai
talash-e-barg-e-gul hai us ko shayad
jo titli pankh khole uD rahi hai
zamin oDhe hue hai sar pe aanchal
ye jo qaus-e-quzah bikhri hui hai
guzarta waqt jo chahe wo likkhe
kitab-e-zindagi sada paDi hai
yaqinan aa gaya hai waqt-e-aKHir
diye ki lau jo itni baDh gai hai
kisi tufan ka hai pesh-KHema
samundar mein jo itni KHamushi hai
agar ghar mein nahin hai 'nur' koi
to ye aawaz kaisi aa rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.