sayyārgāñ kī shab meñ zamīñ sā diyā to hai
ye ḳhaak ajnabī sahī rahne kī jā to hai
āvārgī kā bojh thā is ḳhaak par bahut
lekin hazār shukr ki ham se uThā to hai
ye arsa-e-hayāt agarche hai kam magar
paañv kisī maqām par aa kar rukā to hai
ma.alūm hai mujhe ki tamāshā to kuchh nahīñ
lekin hujūm meñ kahīñ tū bhī khaḌā to hai
galiyoñ kā shor-o-ġhul hai mire saath aaj bhī
vo din guzar ga.e magar āvāz-e-pā to hai
vo rahguzar mahaktī hai ḳhush huuñ ye jaan kar
gar maiñ nahīñ to kyā hai koī dūsrā to hai
ye bhī ma.āl-e-ḳhvāhish-e-dil hai ki aaj vo
bādal ko dekh kar sahī chhat par chaḌhā to hai
aa jā.egā 'naved' vo ik roz raah par
achchhā hai apnī raah se bhaTkā huā to hai
sayyargan ki shab mein zamin sa diya to hai
ye KHak ajnabi sahi rahne ki ja to hai
aawargi ka bojh tha is KHak par bahut
lekin hazar shukr ki hum se uTha to hai
ye arsa-e-hayat agarche hai kam magar
panw kisi maqam par aa kar ruka to hai
malum hai mujhe ki tamasha to kuchh nahin
lekin hujum mein kahin tu bhi khaDa to hai
galiyon ka shor-o-ghul hai mere sath aaj bhi
wo din guzar gae magar aawaz-e-pa to hai
wo rahguzar mahakti hai KHush hun ye jaan kar
gar main nahin to kya hai koi dusra to hai
ye bhi maal-e-KHwahish-e-dil hai ki aaj wo
baadal ko dekh kar sahi chhat par chaDha to hai
aa jaega 'nawed' wo ek roz rah par
achchha hai apni rah se bhaTka hua to hai
Source :
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 511)
-
Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.