saza mili hai bikharne ki aur simaTne ki
sazā milī hai bikharne kī aur simaTne kī
ḳhatā huī thī havāoñ se kal lipaTne kī
kitāb-e-dil kī jabīñ par raqam thī vo tahrīr
kisī meñ taab na thī phir varaq ulaTne kī
sabā ne baat uḌā lī mahakte rangoñ se
kisī daraḳht se ik bel ke lipaTne kī
diloñ meñ TuuT ga.e rābtoñ ke sab Tāñke
ḳhabar hai rail ke nīche kisī ke kaTne kī
na paar ho sakī lamhoñ kī tez rau naddī
lagī hai choT kahīñ kaa.ī par rapaTne kī
talāsh kartā huuñ anjām ḳhvāb-rezī kā
ye zindagī hai sazā kachchī niiñd uchaTne kī
bane haiñ kitne hī patthar ke is ḳharābe meñ
ḳhatā tilism-e-safar se thī ruḳh palaTne kī
saza mili hai bikharne ki aur simaTne ki
KHata hui thi hawaon se kal lipaTne ki
kitab-e-dil ki jabin par raqam thi wo tahrir
kisi mein tab na thi phir waraq ulaTne ki
saba ne baat uDa li mahakte rangon se
kisi daraKHt se ek bel ke lipaTne ki
dilon mein TuT gae rabton ke sab Tanke
KHabar hai rail ke niche kisi ke kaTne ki
na par ho saki lamhon ki tez rau naddi
lagi hai choT kahin kai par rapaTne ki
talash karta hun anjam KHwab-rezi ka
ye zindagi hai saza kachchi nind uchaTne ki
bane hain kitne hi patthar ke is KHarabe mein
KHata tilism-e-safar se thi ruKH palaTne ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.