saza mili hai teri muKHtasar rifaqat ki
sazā milī hai tirī muḳhtasar rifāqat kī
tamām umr tire hijr kī hifāzat kī
utārne bhī na dī shahr ke makīnoñ ne
tirī galī se lipaT kar thakan masāfat kī
tamām umr jise merī chup ne chāhā thā
vo mujh se pūchh rahā thā kabhī mohabbat kī
yahī bahut hai ki talvār se nahīñ maarā
mire qabīle ne mujh par baḌī ināyat kī
maiñ tere ishq meñ sahrā-navardī kyā kartā
abhī to paañv meñ zanjīr thī zarūrat kī
saza mili hai teri muKHtasar rifaqat ki
tamam umr tere hijr ki hifazat ki
utarne bhi na di shahr ke makinon ne
teri gali se lipaT kar thakan masafat ki
tamam umr jise meri chup ne chaha tha
wo mujh se puchh raha tha kabhi mohabbat ki
yahi bahut hai ki talwar se nahin mara
mere qabile ne mujh par baDi inayat ki
main tere ishq mein sahra-nawardi kya karta
abhi to panw mein zanjir thi zarurat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.