sehn-e-chaman se hum na bayaban se aae hain
sehn-e-chaman se ham na bayābāñ se aa.e haiñ
barbād ho ke kūcha-e-jānāñ se aa.e haiñ
nākām-e-shauq kūcha-e-jānāñ se aa.e haiñ
kyā shādmāñ ga.e the pashemāñ se aa.e haiñ
ho yā mizāj ahl-e-qafas par girāñ na ho
ham ik payām le ke gulistāñ se aa.e haiñ
kyūñkar ye raaz dasht-nashīnoñ pe faash ho
kuchh bad-nasīb sehn-e-gulistāñ se aa.e haiñ
ahl-e-ḳhirad pe karte haiñ ahl-e-junūñ ye tanz
gulshan ke mudda.ī haiñ bayābāñ se aa.e haiñ
duniyā charāġh-e-lāla-e-sahrā kahe jise
dil meñ vo daaġh le ke gulistāñ se aa.e haiñ
sehn-e-chaman se hum na bayaban se aae hain
barbaad ho ke kucha-e-jaanan se aae hain
nakaam-e-shauq kucha-e-jaanan se aae hain
kya shadman gae the pasheman se aae hain
ho ya mizaj ahl-e-qafas par giran na ho
hum ek payam le ke gulistan se aae hain
kyunkar ye raaz dasht-nashinon pe fash ho
kuchh bad-nasib sehn-e-gulistan se aae hain
ahl-e-KHirad pe karte hain ahl-e-junun ye tanz
gulshan ke muddai hain bayaban se aae hain
duniya charagh-e-lala-e-sahra kahe jise
dil mein wo dagh le ke gulistan se aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.