Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sehn-e-dil ke sabhi phulon ko jawan rahne do

Syed Khadime Rasul Aini

sehn-e-dil ke sabhi phulon ko jawan rahne do

Syed Khadime Rasul Aini

MORE BYSyed Khadime Rasul Aini

    sehn-e-dil ke sabhī phūloñ ko javāñ rahne do

    pur-shabāb apne chaman ye samāñ rahne do

    phir kabhī sar na uThā paa.eñ jahāñ ke zālim

    sīna-e-zulm pe sīdhā nishāñ rahne do

    ho na jaa.e kabhī ehsās bulbul ġhamgīñ

    is ko rakkho na nihāñ balki ayaañ rahne do

    tum ko rakhnā hai taqaddus fazā gar qaa.em

    dil masjid meñ mohabbat azaañ rahne do

    āb-e-irfāñ se raheñ haq ke musāfir sairāb

    apne atrāf hidāyat kuaañ rahne do

    dil karo fat.h tum iḳhlās talvāroñ se

    nafrat-o-buġhz ke tum teġh-o-sināñ rahne do

    dard darvāza-e-dil par na de dastak 'ainī'

    mad.h-e-mahbūb sadā vird-e-zabāñ rahne do

    sehn-e-dil ke sabhi phulon ko jawan rahne do

    pur-shabab apne chaman ka ye saman rahne do

    phir kabhi sar na uTha paen jahan ke zalim

    sina-e-zulm pe sidha sa nishan rahne do

    ho na jae kabhi ehsas ka bulbul ghamgin

    is ko rakkho na nihan balki ayan rahne do

    tum ko rakhna hai taqaddus ki faza gar qaem

    dil ki masjid mein mohabbat ki azan rahne do

    aab-e-irfan se rahen haq ke musafir sairab

    apne atraf hidayat ka kuan rahne do

    dil karo fath tum iKHlas ki talwaron se

    nafrat-o-bughz ke tum tegh-o-sinan rahne do

    dard darwaza-e-dil par na de dastak 'aini'

    madh-e-mahbub sada wird-e-zaban rahne do

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now