sehr-e-talab na KHwab-e-fusun mujhko mil gaya
sehr-e-talab na ḳhvāb-e-fusūñ mujh ko mil gayā
niiñd aa ga.ī to ḳhud hī sukūñ mujh ko mil gayā
maiñ chāhtā huuñ ḳhaak uḌā.ūñ jahān kī
ye kaisī aag kaisā junūñ mujh ko mil gayā
ye phuul le kar us kī taraf jā rahā thā maiñ
lekin vo rāste meñ hī kyoñ mujh ko mil gayā
kal tak to āñsūon se pareshāñ thā aur ab
ahvāl-e-dil bhī aaj zubūñ mujh ko mil gayā
us peḌ ko ghamanD bahut thā bahār meñ
lekin ḳhizāñ meñ vo bhī nigūñ mujh ko mil gayā
ik yaad ghar meñ saa.e kī sūrat rahī 'fidā'
ik aks aa.ine ke darūñ mujh ko mil gayā
sehr-e-talab na KHwab-e-fusun mujh ko mil gaya
nind aa gai to KHud hi sukun mujh ko mil gaya
main chahta hun KHak uDaun jahan ki
ye kaisi aag kaisa junun mujh ko mil gaya
ye phul le kar us ki taraf ja raha tha main
lekin wo raste mein hi kyon mujh ko mil gaya
kal tak to aansuon se pareshan tha aur ab
ahwal-e-dil bhi aaj zubun mujh ko mil gaya
us peD ko ghamanD bahut tha bahaar mein
lekin KHizan mein wo bhi nigun mujh ko mil gaya
ek yaad ghar mein sae ki surat rahi 'fida'
ek aks aaine ke darun mujh ko mil gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.