ser-shikami ka bhuk se hai milap
ser-shikamī kā bhuuk se hai milāp
ruuh kī tishnagī sañbhāliye aap
raqs-farmā huī vo sīm-tanī
be-zarī kī bahār ne dī thaap
shahr vaale haiñ khaultā laavā
galī-kūchoñ se uTh rahī hai bhaap
nā-murādī ke baḌhte silsile ko
na.e paimāna-e-sitam se naap
is ko namrūd kā taqāzā jaan
ātish-e-husn ko na baiTh ke taap
ḳhāmushī to ilāj-e-dard nahīñ
baat bantī nahīñ hai aap se aap
tū bhī kah de jo tere jī meñ hai
sun rahā huuñ maiñ har anāp-shanāp
koī aayā na gosha-e-dil tak
shāh-rah par sunī thī paañv kī chaap
yuuñ hī shāyad mizāj badle tirā
mere ash'ār apne naam se chhāp
vaqt, mausam 'nazar' nigāh meñ rakh
kis ne tujh se kahā ye raag alaap
ser-shikami ka bhuk se hai milap
ruh ki tishnagi sanbhaaliye aap
raqs-farma hui wo sim-tani
be-zari ki bahaar ne di thap
shahr wale hain khaulta lawa
gali-kuchon se uTh rahi hai bhap
na-muradi ke baDhte silsile ko
nae paimana-e-sitam se nap
is ko namrud ka taqaza jaan
aatish-e-husn ko na baiTh ke tap
KHamushi to ilaj-e-dard nahin
baat banti nahin hai aap se aap
tu bhi kah de jo tere ji mein hai
sun raha hun main har anap-shanap
koi aaya na gosha-e-dil tak
shah-rah par suni thi panw ki chap
yun hi shayad mizaj badle tera
mere ash'ar apne nam se chhap
waqt, mausam 'nazar' nigah mein rakh
kis ne tujh se kaha ye rag alap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.