shair hun mohabbat ka mujhe kya koi gham hai
shā'ir huuñ mohabbat kā mujhe kyā koī ġham hai
tūfāñ hai agar dil meñ to hāthoñ meñ qalam hai
palTe jo kabhī maazī ke aurāq to dekhā
ik zūd-farāmosh khaḌā misl-e-sanam hai
bikhre hue abrū haiñ to dāman meñ haiñ paivand
sar kaj kī ravish pe hai to siine meñ bhī ḳham hai
qāsid kī banā.ī huī bātoñ pe na jaanā
paḌhnā tū mire dil kī tujhe merī qasam hai
tasvīr ubharte hī nazar aatā hai ik rang
rang aisā ki lagtā hai koī gard-e-alam hai
sad-shukr ki baḳhshī hai mujhe likhne kī tāqat
mālik ye mirī marzī kahāñ terā karam hai
ġhazleñ kahūñ yā dil kā taḌapnā kahūñ 'kāvish'
zar-ḳhāna yahī merā yahī jāh-o-hasham hai
sha'ir hun mohabbat ka mujhe kya koi gham hai
tufan hai agar dil mein to hathon mein qalam hai
palTe jo kabhi mazi ke auraq to dekha
ek zud-faramosh khaDa misl-e-sanam hai
bikhre hue abru hain to daman mein hain paiwand
sar kaj ki rawish pe hai to sine mein bhi KHam hai
qasid ki banai hui baaton pe na jaana
paDhna tu mere dil ki tujhe meri qasam hai
taswir ubharte hi nazar aata hai ek rang
rang aisa ki lagta hai koi gard-e-alam hai
sad-shukr ki baKHshi hai mujhe likhne ki taqat
malik ye meri marzi kahan tera karam hai
ghazlen kahun ya dil ka taDapna kahun 'kawish'
zar-KHana yahi mera yahi jah-o-hasham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.