shairi ke siwa bacha kya hai
shā'irī ke sivā bachā kyā hai
sochtī huuñ ye silsila kyā hai
zindagī to hai vāpsī kā safar
aur is haath pe likhā kyā hai
ham to sab kuchh gañvā ke baiThe haiñ
sab jo hāsil ho phir maza kyā hai
āzmātī hai baar baar mujhe
zindagī mujh se ab gilā kyā hai
dard meñ mere vo sisaktā hai
aise hamdard kī davā kyā hai
kuchh dalīleñ yahāñ nahīñ chaltīñ
'ishq kā aur dā.era kyā hai
mujh ko ujḌā huā hī rahne do
kaash pūchhe koī huā kyā hai
us bhale aadmī kā kyā kiije
jo nahīñ jāntā burā kyā hai
mai-kadoñ meñ bhī zikr ho jis kā
us kā phir aur martaba kyā hai
chaal sayyād terī jaan chuke
jaal meñ tere ab bachā kyā hai
bebasī bevafā.ī tanhā.ī
'ishq kī shab meñ aur likhā kyā hai
sha'iri ke siwa bacha kya hai
sochti hun ye silsila kya hai
zindagi to hai wapsi ka safar
aur is hath pe likha kya hai
hum to sab kuchh ganwa ke baiThe hain
sab jo hasil ho phir maza kya hai
aazmati hai bar bar mujhe
zindagi mujh se ab gila kya hai
dard mein mere wo sisakta hai
aise hamdard ki dawa kya hai
kuchh dalilen yahan nahin chaltin
'ishq ka aur daera kya hai
mujh ko ujDa hua hi rahne do
kash puchhe koi hua kya hai
us bhale aadmi ka kya kije
jo nahin jaanta bura kya hai
mai-kadon mein bhi zikr ho jis ka
us ka phir aur martaba kya hai
chaal sayyaad teri jaan chuke
jal mein tere ab bacha kya hai
bebasi bewafai tanhai
'ishq ki shab mein aur likha kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.