shairi ki zaban bolenge
shā'irī kī zabān boleñge
kaan duniyā ke aaj kholeñge
saath milnā kisī kā mushkil hai
apne saa.e ke saath ho leñge
dil meñ melā lagā hai ḳhalvat kā
aaj ham is meñ ḳhud ko kholeñge
vasl ke phuul ham khilā.enge
terī yādoñ ko dil meñ boleñge
bahte aañsū se kaam leñge ham
kam se kam chehra apnā dho leñge
sar pe ehsān raat kā kyoñ hai
niiñd aa.ī to din meñ so leñge
sha'iri ki zaban bolenge
kan duniya ke aaj kholenge
sath milna kisi ka mushkil hai
apne sae ke sath ho lenge
dil mein mela laga hai KHalwat ka
aaj hum is mein KHud ko kholenge
wasl ke phul hum khilaenge
teri yaadon ko dil mein bolenge
bahte aansu se kaam lenge hum
kam se kam chehra apna dho lenge
sar pe ehsan raat ka kyon hai
nind aai to din mein so lenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.