Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaeri kawish-e-paiham ke siwa kuchh bhi nahin

Ameer Chand Bahar

shaeri kawish-e-paiham ke siwa kuchh bhi nahin

Ameer Chand Bahar

MORE BYAmeer Chand Bahar

    shā.erī kāvish-e-paiham ke sivā kuchh bhī nahīñ

    aur is kāvish-e-paiham sila kuchh bhī nahīñ

    zar-parastoñ ko to ab ḳhauf-e-ḳhudā kuchh bhī nahīñ

    pās-e-dīñ pās-e-adab pās-e-vafā kuchh bhī nahīñ

    roz-o-shab ātish-e-jazbāt meñ jalte rahnā

    āshiqī soz-e-musalsal ke sivā kuchh bhī nahīñ

    kaun ye ruuh ko āvāz diye jaatā hai

    hama-tan-gosh huuñ maiñ aur sadā kuchh bhī nahīñ

    aap bhī hoñ mire hamrāh to kuchh baat bane

    varna in chāñdnī rātoñ mazā kuchh bhī nahīñ

    zindagī meñ gunāhoñ sazā miltī hai

    hashr kuchh chiiz nahīñ roz-e-jazā kuchh bhī nahīñ

    daur-e-hāzir sharī.at meñ ravā hai sab kuchh

    nāravā kuchh bhī nahīñ aur burā kuchh bhī nahīñ

    kyā kahā vaqt-e-musībat koī kaam aa.egā

    aap ko fitrat-e-insāñ patā kuchh bhī nahīñ

    āzmāyā hai bahut apnoñ ko begānoñ ko

    mujh ko ab ahl-e-zamāna se gilā kuchh bhī nahīñ

    ġham milā ranj milā tum ko mohabbat meñ 'bahār'

    phir bhī kahte ho mohabbat meñ dharā kuchh bhī nahīñ

    shaeri kawish-e-paiham ke siwa kuchh bhi nahin

    aur is kawish-e-paiham ka sila kuchh bhi nahin

    zar-paraston ko to ab KHauf-e-KHuda kuchh bhi nahin

    pas-e-din pas-e-adab pas-e-wafa kuchh bhi nahin

    roz-o-shab aatish-e-jazbaat mein jalte rahna

    aashiqi soz-e-musalsal ke siwa kuchh bhi nahin

    kaun ye ruh ko aawaz diye jata hai

    hama-tan-gosh hun main aur sada kuchh bhi nahin

    aap bhi hon mere hamrah to kuchh baat bane

    warna in chandni raaton ka maza kuchh bhi nahin

    zindagi hi mein gunahon ki saza milti hai

    hashr kuchh chiz nahin roz-e-jaza kuchh bhi nahin

    daur-e-hazir ki shariat mein rawa hai sab kuchh

    narawa kuchh bhi nahin aur bura kuchh bhi nahin

    kya kaha waqt-e-musibat koi kaam aaega

    aap ko fitrat-e-insan ka pata kuchh bhi nahin

    aazmaya hai bahut apnon ko beganon ko

    mujh ko ab ahl-e-zamana se gila kuchh bhi nahin

    gham mila ranj mila tum ko mohabbat mein 'bahaar'

    phir bhi kahte ho mohabbat mein dhara kuchh bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now