shah-e-zaman ne bhej diya reshmi libas
shāh-e-zamāñ ne bhej diyā reshmī libās
lekin faqīr kā hai vahī sarmadī libās
hai jism ke sivā bhī ḳhudā kī dukān meñ
'uryāniyoñ ko Dhāñpne vaalā koī libās
ḳhush hone kā ye svāñg bahut der ho chukā
sandūq se nikālo mirā mātamī libās
sochā tumheñ gale se lagāyā pahan liyā
tum ho kabhī ḳhayāl kabhī tan kabhī libās
is baar raushnī se hai jang ār-pār kī
shāmoñ se jis ne chhīn liye surma.ī libās
jaarī rahegā tā-ba-abad ye tavāf-e-husn
āñkhoñ meñ phir rahā hai tirā mausamī libās
taqrīr sun ke vo bhī bajāte haiñ tāliyāñ
pahnā diyā gayā hai jinheñ āḳhirī libās
us roz jhūm-jhūm ke nāche haiñ zid meñ vo
jis din badan pe dekh liyā mātamī libās
shah-e-zaman ne bhej diya reshmi libas
lekin faqir ka hai wahi sarmadi libas
hai jism ke siwa bhi KHuda ki dukan mein
'uryaniyon ko Dhanpne wala koi libas
KHush hone ka ye swang bahut der ho chuka
sanduq se nikalo mera matami libas
socha tumhein gale se lagaya pahan liya
tum ho kabhi KHayal kabhi tan kabhi libas
is bar raushni se hai jang aar-par ki
shamon se jis ne chhin liye surmai libas
jari rahega ta-ba-abad ye tawaf-e-husn
aankhon mein phir raha hai tera mausami libas
taqrir sun ke wo bhi bajate hain taliyan
pahna diya gaya hai jinhen aaKHiri libas
us roz jhum-jhum ke nache hain zid mein wo
jis din badan pe dekh liya matami libas
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 39)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.