shair ho itraate kyon ho
shā.ir ho itrāte kyoñ ho
sher sunāo gaate kyoñ ho
ā.īne ko sāmne rakh kar
tum āḳhir sharmāte kyoñ ho
jo kahnā hai sach sach kah do
suulī se ghabrāte kyoñ ho
maiñ huuñ sīdhā-sāda mujh ko
bātoñ meñ uljhāte kyoñ ho
sach kā da.avā karne vaalo
jhūTī qasmeñ khāte kyoñ ho
paimānoñ meñ aag chhupī hai
maiḳhāne meñ jaate kyoñ ho
tark-e-ta.alluq chhoḌo 'dilkash'
milne se katrāte kyoñ ho
shair ho itraate kyon ho
sher sunao gate kyon ho
aaine ko samne rakh kar
tum aaKHir sharmate kyon ho
jo kahna hai sach sach kah do
suli se ghabraate kyon ho
main hun sidha-sada mujh ko
baaton mein uljhate kyon ho
sach ka dawa karne walo
jhuTi qasmen khate kyon ho
paimanon mein aag chhupi hai
maiKHane mein jate kyon ho
tark-e-talluq chhoDo 'dilkash'
milne se katraate kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.