shair ko husn-e-yar ka darshan bhi chahiye
shā.ir ko husn-e-yār kā darshan bhī chāhiye
darshan ke saath yaar kā dāman bhī chāhiye
husn-o-jamāl surḳh lab-o-sīm khaal aur
us ko nigāh-e-yār meñ chilman bhī chāhiye
sanjīdgī firāq-o-visāl-o-sharārteñ
husn-e-ġhazal ke vāste an-ban bhī chāhiye
kitnoñ ke dil meñ aisī tamannā hai aaj bhī
jaisī ġhazal hai vaisī hī dulhan bhī chāhiye
lekin huzūr ko ye nasīhat kare koī
gul toḌne ke vāste gulshan bhī chāhiye
shair ko husn-e-yar ka darshan bhi chahiye
darshan ke sath yar ka daman bhi chahiye
husn-o-jamal surKH lab-o-sim khaal aur
us ko nigah-e-yar mein chilman bhi chahiye
sanjidgi firaq-o-visal-o-shararten
husn-e-ghazal ke waste an-ban bhi chahiye
kitnon ke dil mein aisi tamanna hai aaj bhi
jaisi ghazal hai waisi hi dulhan bhi chahiye
lekin huzur ko ye nasihat kare koi
gul toDne ke waste gulshan bhi chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.