shairi ibarat hai dagh ke gharane se
Interesting Fact
20-Dec-53
shā.irī ibārat hai 'dāġh' ke gharāne se
luT rahī hai ye daulat us bhare ḳhazāne se
ġham nahīñ zarā mujh ko ġharq-e-bahr hone kā
kitnī kashtiyāñ ubhrīñ mere Duub jaane se
sub.h muskurātī hai shaam muskurātī hai
tere muskurāne se mere muskurāne se
yād-e-ahd-e-rafta se zindagī ibārat hai
sub.h-e-nau ko nisbat hai shaam ke fasāne se
ab unheñ kahāñ DhūñDeñ ab unheñ kahāñ paa.eñ
haa.e daaġh de kar jo uTh ga.e zamāne se
ik taraf banātā hai ik taraf miTātā hai
khel kheltā hai tū nit nayā zamāne se
umr ik guzārī hai ham ne sehn-e-gulshan meñ
jaa.eñ to kahāñ jaa.eñ uḌ ke āshiyāne se
kā.enāt raqsāñ hai zindagī daraḳhshāñ hai
kis ke muskurāne se tere muskurāne se
vāsta imārat se kyā niyāz-mandī ko
kyuuñ jabīñ ho sharminda dar se āstāne se
ye añdherī rātoñ meñ aur bhī farozāñ haiñ
nisbateñ haiñ tāroñ ko tere muskurāne se
zindagī kī manzil meñ ab qadam nahīñ uThte
niiñd aao ik le leñ maut ke bahāne se
indimāl jin kā hai vaqt se bhī nā-mumkin
zaḳhm chand aise bhī khaa.e haiñ zamāne se
jis tarah añdhere meñ shab ko deñ faroġh anjum
zulmateñ munavvar haiñ mere muskurāne se
maut se shikāyat kyuuñ maut se gilā kaisā
zindagī ne luuTā hai maut ke bahāne se
marg-o-zīst meñ 'tālib' kyā ḳhabar kise ma.alūm
kis ne kis ko luuTā hai aur kis bahāne se
shairi ibarat hai 'dagh' ke gharane se
luT rahi hai ye daulat us bhare KHazane se
gham nahin zara mujh ko gharq-e-bahr hone ka
kitni kashtiyan ubhrin mere Dub jaane se
subh muskuraati hai sham muskuraati hai
tere muskurane se mere muskurane se
yaad-e-ahd-e-rafta se zindagi ibarat hai
subh-e-nau ko nisbat hai sham ke fasane se
ab unhen kahan DhunDen ab unhen kahan paen
hae dagh de kar jo uTh gae zamane se
ek taraf banata hai ek taraf miTata hai
khel khelta hai tu nit naya zamane se
umr ek guzari hai hum ne sehn-e-gulshan mein
jaen to kahan jaen uD ke aashiyane se
kaenat raqsan hai zindagi daraKHshan hai
kis ke muskurane se tere muskurane se
wasta imarat se kya niyaz-mandi ko
kyun jabin ho sharminda dar se aastane se
ye andheri raaton mein aur bhi farozan hain
nisbaten hain taron ko tere muskurane se
zindagi ki manzil mein ab qadam nahin uThte
nind aao ek le len maut ke bahane se
indimal jin ka hai waqt se bhi na-mumkin
zaKHm chand aise bhi khae hain zamane se
jis tarah andhere mein shab ko den farogh anjum
zulmaten munawwar hain mere muskurane se
maut se shikayat kyun maut se gila kaisa
zindagi ne luTa hai maut ke bahane se
marg-o-zist mein 'talib' kya KHabar kise malum
kis ne kis ko luTa hai aur kis bahane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.