shairi ruh mein tahlil nahin ho pati
shā.irī ruuh meñ tahlīl nahīñ ho paatī
ham se jazbāt kī tashkīl nahīñ ho paatī
ham mulāzim haiñ magar thoḌī anā rakhte haiñ
ham se har hukm kī ta.amīl nahīñ ho paatī
āsmāñ chhīn liyā kartā hai saarā paanī
aañkh bhartī hai magar jhiil nahīñ ho paatī
shaam tak TuuT ke har roz bikhar jaatā huuñ
yaas ummīd meñ tabdīl nahīñ ho paatī
rāt-bhar niiñd ke sahrā meñ bhaTaktā huuñ magar
sub.h tak ḳhvāb kī takmīl nahīñ ho paatī
shairi ruh mein tahlil nahin ho pati
hum se jazbaat ki tashkil nahin ho pati
hum mulazim hain magar thoDi ana rakhte hain
hum se har hukm ki tamil nahin ho pati
aasman chhin liya karta hai sara pani
aankh bharti hai magar jhil nahin ho pati
sham tak TuT ke har roz bikhar jata hun
yas ummid mein tabdil nahin ho pati
raat-bhar nind ke sahra mein bhaTakta hun magar
subh tak KHwab ki takmil nahin ho pati
- Book : Dhoop Dariya (Pg. 13)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.