shaKH-e-dil se KHwahishon ke phal churaata kaun hai
shāḳh-e-dil se ḳhvāhishoñ ke phal churātā kaun hai
baad meñ phir aas kī kaliyāñ khilātā kaun hai
diid kī himmat nahīñ hai pūchhtā hai har koī
āḳhir-e-shab dar hamārā khaTkhaTātā kaun hai
reza-reza shakl terī qatra-qatra aañkh hai
ye batā de be-sabab tujh ko thakātā kaun hai
bas dhuāñ uThtā gayā har chiiz dhuñdlātī ga.ī
lahza lahza aap apne ko bujhātā kaun hai
haañ hameñ bhī sūrateñ mub.ham milī haiñ chār-sū
kuchh pata hai shahr meñ chehre miTātā kaun hai
ḳhuun kā dhārā saḌak ke us kināre jā lagā
Thahro dekheñ apnī sāñseñ ab luTātā kaun hai
shaKH-e-dil se KHwahishon ke phal churaata kaun hai
baad mein phir aas ki kaliyan khilata kaun hai
did ki himmat nahin hai puchhta hai har koi
aaKHir-e-shab dar hamara khaTkhaTata kaun hai
reza-reza shakl teri qatra-qatra aankh hai
ye bata de be-sabab tujh ko thakata kaun hai
bas dhuan uThta gaya har chiz dhundlati gai
lahza lahza aap apne ko bujhata kaun hai
han hamein bhi suraten mubham mili hain chaar-su
kuchh pata hai shahr mein chehre miTata kaun hai
KHun ka dhaara saDak ke us kinare ja laga
Thahro dekhen apni sansen ab luTata kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.