shaKH-e-gul par lachak rahi hogi
shāḳh-e-gul par lachak rahī hogī
ek chiḌiyā chahak rahī hogī
tum ne jis shāḳh ko chhuā hogā
vo abhī tak mahak rahī hogī
shoḳh lahroñ ne baḌh ke ġhusl diyā
ab vo zulfeñ jhaTak rahī hogī
jāntā huuñ ki vo ḳhafā ho kar
mujh ko chhup chhup ke tak rahī hogī
maiñ hī giryāñ nahīñ huuñ vo bhī zarūr
muñh chhupā kar bilak rahī hogī
tark-e-ulfat to sirf naam ko hai
aag ab bhī bhaḌak rahī hogī
us kī muskān se falak pe 'sahar'
chaar jānib dhanak rahī hogī
shaKH-e-gul par lachak rahi hogi
ek chiDiya chahak rahi hogi
tum ne jis shaKH ko chhua hoga
wo abhi tak mahak rahi hogi
shoKH lahron ne baDh ke ghusl diya
ab wo zulfen jhaTak rahi hogi
jaanta hun ki wo KHafa ho kar
mujh ko chhup chhup ke tak rahi hogi
main hi giryan nahin hun wo bhi zarur
munh chhupa kar bilak rahi hogi
tark-e-ulfat to sirf nam ko hai
aag ab bhi bhaDak rahi hogi
us ki muskan se falak pe 'sahar'
chaar jaanib dhanak rahi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.