shaKH mein sabza dhup mein saya wapas aaya
shāḳh meñ sabza dhuup meñ saaya vāpas aayā
raat ko chhū kar din kā jhoñkā vāpas aayā
lahr ne kise sadā dī duurī ke sāhil se
kashtī vāpas aa.ī dariyā vāpas aayā
buuñd girī thī jalte mausam ke hoñToñ par
aañkh meñ aañsū dil meñ sho.ala vāpas aayā
kitne dinoñ ke ba.ad shajar ne chhatrī kholī
kitne dinoñ meñ din bārish kā vāpas aayā
āñkheñ rakh diiñ us ne ghar ke darvāze par
shaam huī aur ḳhālī rasta vāpas aayā
haath meñ diyā liye vo chhat par vāpas aa.ī
us ke saath havā kā jhoñkā vāpas aayā
khiḌkī khol ke maiñ ne use pukārā 'qaisar'
ek parinda ek sitārā vāpas aayā
shaKH mein sabza dhup mein saya wapas aaya
raat ko chhu kar din ka jhonka wapas aaya
lahr ne kise sada di duri ke sahil se
kashti wapas aai dariya wapas aaya
bund giri thi jalte mausam ke honTon par
aankh mein aansu dil mein shoala wapas aaya
kitne dinon ke baad shajar ne chhatri kholi
kitne dinon mein din barish ka wapas aaya
aankhen rakh din us ne ghar ke darwaze par
sham hui aur KHali rasta wapas aaya
hath mein diya liye wo chhat par wapas aai
us ke sath hawa ka jhonka wapas aaya
khiDki khol ke main ne use pukara 'qaisar'
ek parinda ek sitara wapas aaya
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 16.12.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.