shaKHen tarash kar mujhe mahdud mat karo
shāḳheñ tarāsh kar mujhe mahdūd mat karo
chhāñv ghane chinār kī nābūd mat karo
insāñ huuñ gunahgār huuñ to mujh ko do sazā
mujh ko sipurd-e-ḳhvāhish-e-ma.abūd mat karo
shīshe meñ dekh kar zarā pahchān lo mujhe
ḳhākoñ meñ apne jalvoñ ko mahdūd mat karo
ham sab ne kitne pyaar se duniyā sañvār dī
is par ḳhudā-rā bārish-e-bārūd mat karo
ho raushnī shu.ūr kī aur dil kī chāñdnī
ai dost is ko tīrgī-e-dūd mat karo
shaKHen tarash kar mujhe mahdud mat karo
chhanw ghane chinar ki nabud mat karo
insan hun gunahgar hun to mujh ko do saza
mujh ko sipurd-e-KHwahish-e-mabud mat karo
shishe mein dekh kar zara pahchan lo mujhe
KHakon mein apne jalwon ko mahdud mat karo
hum sab ne kitne pyar se duniya sanwar di
is par KHuda-ra barish-e-barud mat karo
ho raushni shuur ki aur dil ki chandni
ai dost is ko tirgi-e-dud mat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.