shaKHon se lipaTta hua azhdar nahin dekha
shāḳhoñ se lipaTtā huā azhdar nahīñ dekhā
phūloñ ne sar-e-kūcha-e-sarsar nahīñ dekhā
baḌhte hī ga.e rāh-e-shahādat ke falak par
ghar chhoḌne vāloñ ne mukarrar nahīñ dekhā
dariyā ne ka.ī baar kināre se sadā dī
jaate hue pyāse ne palaT kar nahīñ dekhā
dekhī to faqat tābish-e-asrār-e-mashiyyat
sajde ke tamannā.ī ne ḳhanjar nahīñ dekhā
ik gul ne tabassum se jalā dī saf-e-a.adā
hulqūm pe chaltā huā ḳhanjar nahīñ dekhā
ḳhemoñ meñ sisaktī huī namnāk havā ne
bīmār kā jaltā huā bistar nahīñ dekhā
shaKHon se lipaTta hua azhdar nahin dekha
phulon ne sar-e-kucha-e-sarsar nahin dekha
baDhte hi gae rah-e-shahadat ke falak par
ghar chhoDne walon ne mukarrar nahin dekha
dariya ne kai bar kinare se sada di
jate hue pyase ne palaT kar nahin dekha
dekhi to faqat tabish-e-asrar-e-mashiyyat
sajde ke tamannai ne KHanjar nahin dekha
ek gul ne tabassum se jala di saf-e-ada
hulqum pe chalta hua KHanjar nahin dekha
KHemon mein sisakti hui namnak hawa ne
bimar ka jalta hua bistar nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.