shaki bad-zan aazurda hain mujhse mere bhai yar
shākī bad-zan āzurda haiñ mujh se mere bhaa.ī yaar
jaane kis jā bhuul aayā huuñ rakh kar maiñ goyā.ī yaar
ḳhāmoshī ke sahrā chuTkī meñ āvāzoñ ke jañgal
kitnī bastī ujḌī ham se kitnī ham ne basā.ī yaar
dekho nā-ummīdī ko aise Theñgā dikhlāte haiñ
aksar apne ghar kī kunDī ḳhud ham ne khaTkā.ī yaar
tanhā.ī meñ ab bhī koī bāloñ ko sahlātā hai
haath pakaḌnā chāheñ to ThaTThā maare purvā.ī yaar
aaj use phir dekhā jis ko pahroñ dekhā karte the
ab kuchh vo bhī maand paḌā hai kuchh apnī bīnā.ī yaar
achchhī bastī achchhā ghar achchhe bachche achchhe hālāt
jis ke dekho saath lagī hai ik ḳhvāhish ābā.ī yaar
ma.anī kī dhajjī bikhrī aur lafzoñ ke taane baane
raat taḳhayyul ne mastī meñ kī hañgām-ārā.ī yaar
shaki bad-zan aazurda hain mujh se mere bhai yar
jaane kis ja bhul aaya hun rakh kar main goyai yar
KHamoshi ke sahra chuTki mein aawazon ke jangal
kitni basti ujDi hum se kitni hum ne basai yar
dekho na-ummidi ko aise Thenga dikhlate hain
aksar apne ghar ki kunDi KHud hum ne khaTkai yar
tanhai mein ab bhi koi baalon ko sahlata hai
hath pakaDna chahen to ThaTTha mare purwai yar
aaj use phir dekha jis ko pahron dekha karte the
ab kuchh wo bhi mand paDa hai kuchh apni binai yar
achchhi basti achchha ghar achchhe bachche achchhe haalat
jis ke dekho sath lagi hai ek KHwahish aabai yar
mani ki dhajji bikhri aur lafzon ke tane bane
raat taKHayyul ne masti mein ki hangam-arai yar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.