sham aaegi to andaz nirale honge
shaam aa.egī to andāz nirāle hoñge
terī yādoñ ke har ik samt ujāle hoñge
maiñ thī ik peḌ havā le ga.ī sūkhe patte
mujh pe ai fasl-e-ḳhizāñ tere maqāle hoñge
shāh-rāhoñ pe jo kal DhūñD rahā thā ḳhushiyāñ
qahqahe us ne havāoñ meñ uchhāle hoñge
be-ḳhatāoñ kī ye pahchān bahut āsāñ hai
apne kāñdhoñ pe salīb apnī sañbhāle hoñge
us ke dāman meñ jo motī haiñ to hairānī kyoñ
ye samundar bhī usī ne to khañgāle hoñge
maañ nigahdāsht kare jaise kisī bachche kī
us ne ġham bhī usī andāz se paale hoñge
koī gulshan na khilā paa.e sar-e-rāh-e-vafā
mujh se sharminda mire paañv ke chhāle hoñge
kuchh na kahne pe ḳhafā kah duuñ to jaane kyā ho
lab pe taale usī ehsās ne Daale hoñge
'mīr'-o-'ġhālib' kī zabāñ dekhegī vo din bhī 'nasīm'
sab ke hāthoñ meñ jab urdu ke risāle hoñge
sham aaegi to andaz nirale honge
teri yaadon ke har ek samt ujale honge
main thi ek peD hawa le gai sukhe patte
mujh pe ai fasl-e-KHizan tere maqale honge
shah-rahon pe jo kal DhunD raha tha KHushiyan
qahqahe us ne hawaon mein uchhaale honge
be-KHataon ki ye pahchan bahut aasan hai
apne kandhon pe salib apni sanbhaale honge
us ke daman mein jo moti hain to hairani kyon
ye samundar bhi usi ne to khangale honge
man nigahdasht kare jaise kisi bachche ki
us ne gham bhi usi andaz se pale honge
koi gulshan na khila pae sar-e-rah-e-wafa
mujh se sharminda mere panw ke chhaale honge
kuchh na kahne pe KHafa kah dun to jaane kya ho
lab pe tale usi ehsas ne Dale honge
'mir'-o-'ghaalib' ki zaban dekhegi wo din bhi 'nasim'
sab ke hathon mein jab urdu ke risale honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.