sham aai dard ka bistar khula
shaam aa.ī dard kā bistar khulā
ab rahegā zaḳhm-e-dil shab-bhar khulā
qatl kā ilzām mujh par kis liye
ḳhuun us kī āstīnoñ par khulā
paaoñ ke nīche zamīñ dozaḳh huī
aur sar par dhuup kā ḳhanjar khulā
amn kā daftar bhī us ke ghar meñ hai
chhoḌ rakkhā hai usī ne shar khulā
nafratoñ ke is kuñ.eñ ko chhoḌiye
ā.īye bāhar ki hai bāhar khulā
tul ga.e ādarsh sab daulat ke bhaav
is sadī kā kyā ajab manzar khulā
muñh se us ke phuul jhaḌte haiñ 'niyāz'
haath meñ rakhtā hai vo nishtar khulā
sham aai dard ka bistar khula
ab rahega zaKHm-e-dil shab-bhar khula
qatl ka ilzam mujh par kis liye
KHun us ki aastinon par khula
paon ke niche zamin dozaKH hui
aur sar par dhup ka KHanjar khula
amn ka daftar bhi us ke ghar mein hai
chhoD rakkha hai usi ne shar khula
nafraton ke is kunen ko chhoDiye
aaiye bahar ki hai bahar khula
tul gae aadarsh sab daulat ke bhaw
is sadi ka kya ajab manzar khula
munh se us ke phul jhaDte hain 'niyaz'
hath mein rakhta hai wo nishtar khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.