sham aai to ba-har-samt numudar hua
shaam aa.ī to ba-har-samt numūdār huā
tujh se achchhā to tirā sāya-e-dīvār huā
ik tirī yaad ki mānind-e-sahar raushan hai
ik tirā naam ki mujh ko abad-āsār huā
jab maiñ soyā to rakhā us ne mire haath pe haath
baḳht-e-kam-baḳht bhī kis vaqt pe bedār huā
ek saa.il hai tire dar kā sabhī jānte haiñ
haañ vahī shaḳhs ki jo gaañv kā sardār huā
tū ne is ishq meñ paa.ī hai bahut sī daulat
mujh sā nādār to le-de ke qalamkār huā
din ko chamgādaḌeñ jo dekh nahīñ paatī haiñ
ai ḳhudā in ko to sūraj tirā be-kār huā
saḳht jaaḌe kī aziyyat se nikal aayā huuñ
aap ke jism kī hiddat se mujhe pyaar huā
aap ke husn-e-fusūñ-sāz ke kyā kahne haiñ
aa.ina dekh ke hairat meñ giraftār huā
us ne us paar bulāyā hai ka.ī baar 'valī'
aur dariyā ki nahīñ mujh se kabhī paar huā
sham aai to ba-har-samt numudar hua
tujh se achchha to tera saya-e-diwar hua
ek teri yaad ki manind-e-sahar raushan hai
ek tera nam ki mujh ko abad-asar hua
jab main soya to rakha us ne mere hath pe hath
baKHt-e-kam-baKHt bhi kis waqt pe bedar hua
ek sail hai tere dar ka sabhi jaante hain
han wahi shaKHs ki jo ganw ka sardar hua
tu ne is ishq mein pai hai bahut si daulat
mujh sa nadar to le-de ke qalamkar hua
din ko chamgadaDen jo dekh nahin pati hain
ai KHuda in ko to suraj tera be-kar hua
saKHt jaDe ki aziyyat se nikal aaya hun
aap ke jism ki hiddat se mujhe pyar hua
aap ke husn-e-fusun-saz ke kya kahne hain
aaina dekh ke hairat mein giraftar hua
us ne us par bulaya hai kai bar 'wali'
aur dariya ki nahin mujh se kabhi par hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.