sham banhon mein liye raat ki rani aai
shaam bāñhoñ meñ liye raat kī raanī aa.ī
ai mohabbat tujhe dene ko salāmī aa.ī
tishnagī itnī ki dariyā hai mirī āñkhoñ meñ
nā-shanāsā tire hone kī gavāhī aa.ī
jis se mansūb huā mere ḳhayāloñ kā safar
DhūñDne us ko mire saath havā bhī aa.ī
mujh meñ maujūd hai vo aur nahīñ hai zāhir
us kī ḳhvāhish dar-o-dīvār banātī aa.ī
zaḳhm aisā thā Tapaktā thā lahū āñkhoñ se
us kī ḳhvāhish dar-o-dīvār banātī aa.ī
zaḳhm aisā thā Tapaktā thā lahū āñkhoñ se
dil bayāñ kar na sakā aisī tabāhī aa.ī
pursish-e-hāl kare kaun kise hai fursat
kab mire sahn meñ nā-dīda ḳhudā.ī aa.ī
sham banhon mein liye raat ki rani aai
ai mohabbat tujhe dene ko salami aai
tishnagi itni ki dariya hai meri aankhon mein
na-shanasa tere hone ki gawahi aai
jis se mansub hua mere KHayalon ka safar
DhunDne us ko mere sath hawa bhi aai
mujh mein maujud hai wo aur nahin hai zahir
us ki KHwahish dar-o-diwar banati aai
zaKHm aisa tha Tapakta tha lahu aankhon se
us ki KHwahish dar-o-diwar banati aai
zaKHm aisa tha Tapakta tha lahu aankhon se
dil bayan kar na saka aisi tabahi aai
pursish-e-haal kare kaun kise hai fursat
kab mere sahn mein na-dida KHudai aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.