sham Dhale ghar aane-jaane lagte hain
shaam Dhale ghar āne-jāne lagte haiñ
yaad ke panchhī shor machāne lagte haiñ
sach boleñ to duniyā hotī hai nārāz
jhuuT kaheñ to ham haklāne lagte haiñ
sachchā.ī jab ham ko mujrim Thahrā.e
ā.īnoñ par ham jhuñjhlāne lagte haiñ
ḳhush-hālī kā bas elaan kiyā jaa.e
ghar meñ rishte āne-jāne lagte haiñ
majbūrī jab hoñToñ ko sī detī hai
aañsū dil kā dard batāne lagte haiñ
sham Dhale ghar aane-jaane lagte hain
yaad ke panchhi shor machane lagte hain
sach bolen to duniya hoti hai naraaz
jhuT kahen to hum haklane lagte hain
sachchai jab hum ko mujrim Thahrae
aainon par hum jhunjhlane lagte hain
KHush-haali ka bas elan kiya jae
ghar mein rishte aane-jaane lagte hain
majburi jab honTon ko si deti hai
aansu dil ka dard batane lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.