sham Dhalte hi ujalon ko ugate hain charagh
shaam Dhalte hī ujāloñ ko ugāte haiñ charāġh
dushmanī yuuñ bhī añdheroñ se nibhāte haiñ charāġh
jashn hī jashn kā māhaul banā rakkhā hai
jhūmtī lau se zamāne ko lubhāte haiñ charāġh
ibtidā ye hai ki qātil kī pazīrā.ī hai
intihā ye hai ki tahzīb ko Dhāte haiñ charāġh
dil munavvar ho to zulmat bhī sukūñ detī hai
varna āñkhoñ kī hī vīrānī baḌhāte haiñ charāġh
in ko āñdhī se bhī laḌne kā hunar aatā hai
be-zabāñ ho ke bhī kyā kyā na sikhāte haiñ charāġh
aa mirī jaan mirī ruuh ko raushan kar de
aa sar-e-ām mohabbat ke sajāte haiñ charāġh
lamha lamha mirī ḳhalvat meñ simaT kar 'shāhid'
dāstāñ mauj meñ maqtal kī sunāte haiñ charāġh
sham Dhalte hi ujalon ko ugate hain charagh
dushmani yun bhi andheron se nibhate hain charagh
jashn hi jashn ka mahaul bana rakkha hai
jhumti lau se zamane ko lubhate hain charagh
ibtida ye hai ki qatil ki pazirai hai
intiha ye hai ki tahzib ko Dhate hain charagh
dil munawwar ho to zulmat bhi sukun deti hai
warna aankhon ki hi virani baDhate hain charagh
in ko aandhi se bhi laDne ka hunar aata hai
be-zaban ho ke bhi kya kya na sikhate hain charagh
aa meri jaan meri ruh ko raushan kar de
aa sar-e-am mohabbat ke sajate hain charagh
lamha lamha meri KHalwat mein simaT kar 'shahid'
dastan mauj mein maqtal ki sunate hain charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.