sham Dhalti malgaji parchhaiyan
shaam Dhaltī malgajī parchhā.iyāñ
maiñ huuñ aur haiñ sar-phirī parchhā.iyāñ
hoñT siitī dasht kī nazzārgī
baat kartī boltī parchhā.iyāñ
mārtā maujeñ samundar kā jalāl
kuchh ubhartī Dūbtī parchhā.iyāñ
sansanāte tiir sī piilī havā
chehra chehra ḳhauf kī parchhā.iyāñ
kis liye khaa.e fareboñ par fareb
saath detī haiñ kahīñ parchhā.iyāñ
ik shagufta phuul kā tanhā safar
taak meñ baiThī huī parchhā.iyāñ
jab purānī se mile mujh ko najāt
gher letī haiñ na.ī parchhā.iyāñ
muñh chhupā.e ek sharminda kiran
kar rahī haiñ dil-lagī parchhā.iyāñ
mujh ko sho.aloñ ke havāle kar ga.iiñ
us ke ruḳh par kheltī parchhā.iyāñ
shaam hote hī kahāñ gum ho ga.iiñ
kyā huiiñ 'yāvar' mirī parchhā.iyāñ
sham Dhalti malgaji parchhaiyan
main hun aur hain sar-phiri parchhaiyan
honT siti dasht ki nazzargi
baat karti bolti parchhaiyan
marta maujen samundar ka jalal
kuchh ubharti Dubti parchhaiyan
sansanate tir si pili hawa
chehra chehra KHauf ki parchhaiyan
kis liye khae farebon par fareb
sath deti hain kahin parchhaiyan
ek shagufta phul ka tanha safar
tak mein baiThi hui parchhaiyan
jab purani se mile mujh ko najat
gher leti hain nai parchhaiyan
munh chhupae ek sharminda kiran
kar rahi hain dil-lagi parchhaiyan
mujh ko shoalon ke hawale kar gain
us ke ruKH par khelti parchhaiyan
sham hote hi kahan gum ho gain
kya huin 'yawar' meri parchhaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.