sham-e-alam jala ke teri yaad ke diye
shām-e-alam jalā ke tirī yaad ke diye
tanhā.iyoñ ke dasht meñ āvāz dī tujhe
duniyā ko jis jagah milī tā'bīr-e-ḳhvāb-e-shauq
TuuTe usī jagah mire ḳhvāboñ ke silsile
jin par shafaq ne rang bikherā qamar ne nuur
un vādiyoñ meñ vo bhī mire saath saath the
rone kī aarzū thī to ashkoñ kā qaht thā
jab qahqahe lagā.e to aañsū nikal paḌe
āḳhir usī kī yaad banī hāsil-e-hayāt
ham ne jise bhulāne ke sau-sau jatan kiye
sham-e-alam jala ke teri yaad ke diye
tanhaiyon ke dasht mein aawaz di tujhe
duniya ko jis jagah mili ta'bir-e-KHwab-e-shauq
TuTe usi jagah mere KHwabon ke silsile
jin par shafaq ne rang bikhera qamar ne nur
un wadiyon mein wo bhi mere sath sath the
rone ki aarzu thi to ashkon ka qaht tha
jab qahqahe lagae to aansu nikal paDe
aaKHir usi ki yaad bani hasil-e-hayat
hum ne jise bhulane ke sau-sau jatan kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.