sham-e-dilkash ka rangin saman hai
shām-e-dilkash kā rangīñ samāñ hai
aise meñ kyā ḳhabar tū kahāñ hai
apne dil ko javāñ-sāl rakkho
dil javāñ hai to sab kuchh javāñ hai
jaam chhalkā diyā kyā shafaq ne
charḳh par mai-kade kā gumāñ hai
kab se khoTī huī us kī manzil
kaun se moḌ par kārvāñ hai
jazba-e-dostī ko sadā do
dost se dost phir bad-gumāñ hai
miT ga.iiñ jabki aqdār-e-insāñ
kaun insān kā pāsbāñ hai
ho gayā kyā bahāroñ ko yaaro
har taraf ab ḳhizāñ hī ḳhizāñ hai
chhin na jaa.e matā.a-e-mohabbat
phir siyāsat kā fitna javāñ hai
apnī rūdād-e-ulfat kaheñ kyā
jo haqīqat thī ab dāstāñ hai
jo ġhazal hī kā hai sirf hissa
nazm meñ vo balāġhat kahāñ hai
shā.erī to bahar-hāl yaaro
zāt-o-māhaul kī tarjumāñ hai
kāmyāb is meñ hote haiñ kam hī
zindagī ik kaḌā imtihāñ hai
kyā chaman hai ye 'maġhmūm' jis meñ
ātish-e-gul ke badle dhuāñ hai
sham-e-dilkash ka rangin saman hai
aise mein kya KHabar tu kahan hai
apne dil ko jawan-sal rakkho
dil jawan hai to sab kuchh jawan hai
jam chhalka diya kya shafaq ne
charKH par mai-kade ka guman hai
kab se khoTi hui us ki manzil
kaun se moD par karwan hai
jazba-e-dosti ko sada do
dost se dost phir bad-guman hai
miT gain jabki aqdar-e-insan
kaun insan ka pasban hai
ho gaya kya bahaaron ko yaro
har taraf ab KHizan hi KHizan hai
chhin na jae mataa-e-mohabbat
phir siyasat ka fitna jawan hai
apni rudad-e-ulfat kahen kya
jo haqiqat thi ab dastan hai
jo ghazal hi ka hai sirf hissa
nazm mein wo balaghat kahan hai
shaeri to bahar-haal yaro
zat-o-mahaul ki tarjuman hai
kaamyab is mein hote hain kam hi
zindagi ek kaDa imtihan hai
kya chaman hai ye 'maghmum' jis mein
aatish-e-gul ke badle dhuan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.