sham-e-gham jab dar-ba-dar ho jaegi
shām-e-ġham jab dar-ba-dar ho jā.egī
vaqt se pahle sahar ho jā.egī
dil kī dhaḌkan kā sahārā chāhiye
aah pāband-e-asar ho jā.egī
aap chalne kā irāda to kareñ
saarī duniyā ham-safar ho jā.egī
Daal to diije nasheman kī binā
barq ko ḳhud hī ḳhabar ho jā.egī
apnī aahoñ par bharosā hai mujhe
jab maiñ chāhūñgā sahar ho jā.egī
muskurāne se na hogā aur kuchh
fitrat-e-ġham mo'atabar ho jā.egī
dāstāñ kā muḳhtasar honā hī kyā
muskurā do muḳhtasar ho jā.egī
rahm aa hī jā.egā un ko 'sa.īd'
shām-e-ġham kī bhī sahar ho jā.egī
sham-e-gham jab dar-ba-dar ho jaegi
waqt se pahle sahar ho jaegi
dil ki dhaDkan ka sahaara chahiye
aah paband-e-asar ho jaegi
aap chalne ka irada to karen
sari duniya ham-safar ho jaegi
Dal to dije nasheman ki bina
barq ko KHud hi KHabar ho jaegi
apni aahon par bharosa hai mujhe
jab main chahunga sahar ho jaegi
muskurane se na hoga aur kuchh
fitrat-e-gham mo'atabar ho jaegi
dastan ka muKHtasar hona hi kya
muskura do muKHtasar ho jaegi
rahm aa hi jaega un ko 'said'
sham-e-gham ki bhi sahar ho jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.