sham-e-gham subh-e-masarrat ki KHabar hone tak
shām-e-ġham sub.h-e-masarrat kī ḳhabar hone tak
jaane kyā dil pe guzar jaa.e sahar hone tak
josh-e-vahshat hī sahī naġhma-e-ishrat na sahī
shaġhl kuchh chāhiye taskīn-e-jigar hone tak
jazba-e-ishq rahīn-e-nigah-e-shauq na ho
dil pe pābandī-e-ādāb-e-nazar hone tak
ham hī jāneñ haiñ use aur koī kyā jaane
shaam se guzre hai jo dil pe sahar hone tak
kitne hī zaḳhm na.e dil meñ ubhar ā.eñge
mundamil zauq-e-nazar zaḳhm-e-jigar hone tak
sub.h-dam aane kā va.ada to kiyā hai us ne
dil kā kyā haal bane nūr-e-sahar hone tak
sham-e-gham subh-e-masarrat ki KHabar hone tak
jaane kya dil pe guzar jae sahar hone tak
josh-e-wahshat hi sahi naghma-e-ishrat na sahi
shaghl kuchh chahiye taskin-e-jigar hone tak
jazba-e-ishq rahin-e-nigah-e-shauq na ho
dil pe pabandi-e-adab-e-nazar hone tak
hum hi jaanen hain use aur koi kya jaane
sham se guzre hai jo dil pe sahar hone tak
kitne hi zaKHm nae dil mein ubhar aaenge
mundamil zauq-e-nazar zaKHm-e-jigar hone tak
subh-dam aane ka wada to kiya hai us ne
dil ka kya haal bane nur-e-sahar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.