sham-e-hijran jo kaTi subh-e-qayamat aai
sham-e-hijran jo kaTi subh-e-qayamat aai
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
MORE BYMohammad Lutfuddin Khan Lutf
shām-e-hijrāñ jo kaTī sub.h-e-qayāmat aa.ī
ek balā sar se Talī ek musībat aa.ī
lab pe shikva tirā aaya na shikāyat aa.ī
jab kabhī dil meñ kuchh aaya ki mohabbat aa.ī
mujh pe rāhat-talabī se hai musībat aa.ī
un se fariyād jo kī aur qayāmat aa.ī
tire aage tirī bedād kī shohrat aa.ī
ġhair ko bhī to tirī chaah se nafrat aa.ī
al-amāñ kahte haiñ sab rakhte haiñ kānoñ par haath
merī fariyād se mahshar meñ qayāmat aa.ī
vasl kī shab dil-e-ḳhud-kām kī nākāmī ko
aap meñ sharm-o-hayā aur sharārat aa.ī
maiñ na kahtā thā burā mujh ko na dekheñge vo
chashm-e-fattāñ meñ phir āḳhir ko muravvat aa.ī
kaun hai mūnis-o-ġham-ḳhvār shab-e-ġham merā
paas aaya kabhī koī to kudūrat aa.ī
jaan kar tujh ko sitamgar bhī bhulā dil detā
mire aage ye mirī shūmī-e-qismat aa.ī
aaj kahte haiñ ki dekheñge tirā shor-o-fuġhāñ
apne hāthoñ se mire sar pe qayāmat aa.ī
pūchhte kyā ho tire hosh kahāñ aql kahāñ
jab taġhāful nahīñ aaya mujhe ġhaflat aa.ī
tire kushte tirī bedād ke āshiq to nahīñ
eid aa.ī unheñ jab sar pe qayāmat aa.ī
ik sivā maut ke aafat nahīñ baaqī koī
ab musībat mujhe kahtī hai ki rāhat aa.ī
tum ho dil meñ to bhalā ġhair koī kyoñ aa.e
ġhair kī yaad jo aa.ī mujhe ġhairat aa.ī
ġhair ko dekheñge aatā dar-e-jānāñ pe jo 'lutf'
us galī se bhī to chal deñge jo vahshat aa.ī
sham-e-hijran jo kaTi subh-e-qayamat aai
ek bala sar se Tali ek musibat aai
lab pe shikwa tera aaya na shikayat aai
jab kabhi dil mein kuchh aaya ki mohabbat aai
mujh pe rahat-talabi se hai musibat aai
un se fariyaad jo ki aur qayamat aai
tere aage teri bedad ki shohrat aai
ghair ko bhi to teri chah se nafrat aai
al-aman kahte hain sab rakhte hain kanon par hath
meri fariyaad se mahshar mein qayamat aai
wasl ki shab dil-e-KHud-kaam ki nakaami ko
aap mein sharm-o-haya aur shararat aai
main na kahta tha bura mujh ko na dekhenge wo
chashm-e-fattan mein phir aaKHir ko murawwat aai
kaun hai munis-o-gham-KHwar shab-e-gham mera
pas aaya kabhi koi to kudurat aai
jaan kar tujh ko sitamgar bhi bhula dil deta
mere aage ye meri shumi-e-qismat aai
aaj kahte hain ki dekhenge tera shor-o-fughan
apne hathon se mere sar pe qayamat aai
puchhte kya ho tere hosh kahan aql kahan
jab taghaful nahin aaya mujhe ghaflat aai
tere kushte teri bedad ke aashiq to nahin
eid aai unhen jab sar pe qayamat aai
ek siwa maut ke aafat nahin baqi koi
ab musibat mujhe kahti hai ki rahat aai
tum ho dil mein to bhala ghair koi kyon aae
ghair ki yaad jo aai mujhe ghairat aai
ghair ko dekhenge aata dar-e-jaanan pe jo 'lutf'
us gali se bhi to chal denge jo wahshat aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.