sham-e-wada gah rona gah hansna dekhte
shām-e-va.ada gaah ronā gaah hañsnā dekhte
aap to aa.e nahīñ varna tamāshā dekhte
hausla dil kā uThā kar tum ye pardā dekhte
jazb kar lete tumheñ apne meñ itnā dekhte
apnī sūrat apnā partav apnā jalva dekhte
aap dil ko toḌ dete to tamāshā dekhte
diid kī hasrat thī muusā zauq-e-nazzāra na thā
varna apne aa.ine meñ un kā jalva dekhte
ḳhud baḌhe the vo hamārī samt paimāna-ba-kaf
dekhte un kā karam yā rū-e-tauba dekhte
chaar din meñ apnī sūrat hī na pahchānī ga.ī
ham kahāñ se zindagī laate ki duniyā dekhte
sar jhukā kar le gayā gardan pe ḳhud ḳhūn-e-vafā
kis tarah chehre se un ke rang uḌtā dekhte
rok lī chullū meñ tauba toḌ kar be-iḳhtiyār
haa.e kin āñkhoñ se ham sāġhar chhalaktā dekhte
kaash jo anjām-e-mūsā par haiñ nāzāñ ai 'habīb'
ek din merā bhī vo zauq-e-nazāra dekhte
sham-e-wada gah rona gah hansna dekhte
aap to aae nahin warna tamasha dekhte
hausla dil ka uTha kar tum ye parda dekhte
jazb kar lete tumhein apne mein itna dekhte
apni surat apna partaw apna jalwa dekhte
aap dil ko toD dete to tamasha dekhte
did ki hasrat thi musa zauq-e-nazzara na tha
warna apne aaine mein un ka jalwa dekhte
KHud baDhe the wo hamari samt paimana-ba-kaf
dekhte un ka karam ya ru-e-tauba dekhte
chaar din mein apni surat hi na pahchani gai
hum kahan se zindagi late ki duniya dekhte
sar jhuka kar le gaya gardan pe KHud KHun-e-wafa
kis tarah chehre se un ke rang uDta dekhte
rok li chullu mein tauba toD kar be-iKHtiyar
hae kin aankhon se hum saghar chhalakta dekhte
kash jo anjam-e-musa par hain nazan ai 'habib'
ek din mera bhi wo zauq-e-nazara dekhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.