sham-e-wada hai agar ab bhi na wo aae to phir
shām-e-va.ada hai agar ab bhī na vo aa.e to phir
aur is ġham meñ jo dhaḌkan dil kī ruk jaa.e to phir
jis se tum dāman-kashāñ ho zindagī kī raah meñ
ruuh kī gahrā.iyoñ meñ vo utar jaa.e to phir
tujh ko hai jis kī vafāoñ par nihāyat e'timād
reza reza kar ke vo tujh ko bikhar jaa.e to phir
amn kā parcham liye phirte ho saare shahr meñ
aur nañg-e-ādmi.yat tum hī kahlā.e to phir
lakḌiyoñ ke ghar meñ miTTī kā diyā achchhā nahīñ
raushnī ke badle is meñ aag lag jaa.e to phir
sham-e-wada hai agar ab bhi na wo aae to phir
aur is gham mein jo dhaDkan dil ki ruk jae to phir
jis se tum daman-kashan ho zindagi ki rah mein
ruh ki gahraiyon mein wo utar jae to phir
tujh ko hai jis ki wafaon par nihayat e'timad
reza reza kar ke wo tujh ko bikhar jae to phir
amn ka parcham liye phirte ho sare shahr mein
aur nang-e-admiyat tum hi kahlae to phir
lakDiyon ke ghar mein miTTi ka diya achchha nahin
raushni ke badle is mein aag lag jae to phir
- Book : احساس کے نشاں (Pg. 23)
- Author : قمر انجم
- Publication : ایم آر پبلی کیشن (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.