sham hai shor hai lashkari mujhko ghere hain is shahr mein
shaam hai shor hai lashkarī mujh ko ghere haiñ is shahr meñ
aur maiñ sochtā huuñ ki sab log mere haiñ is shahr meñ
sehn-e-ālam meñ ik dūrbīñ se ulajhtā huuñ maiñ raat bhar
kahkashā.eñ haiñ yā jugnuoñ ke basere haiñ is shahr meñ
din kī ūñchī fasīloñ ne pahle to sūraj ko andhā kiyā
aur ab raat kā vaqt hai bas añdhere haiñ is shahr meñ
koh-e-afsurdagī shahr-e-jāñ tere dāman meñ ābād hai
kuchh parindoñ ke aur kuchh faqīroñ ke Dere haiñ is shahr meñ
bhairvīñ ke suroñ meñ bhajan gungunāte hue shaam ne
āsmāñ kī ridā par sitāre bikhere haiñ is shahr meñ
ik tilā.ī chamak se banā hai ye duniyā kā jādū-nagar
ik parī-zād ke 'āshiqoñ ke basere haiñ is shahr meñ
rang raqsāñ haiñ aur kuchh basantī patañgeñ haiñ lahore kī
kyā dhanak mū-qalam ik musavvir ne phere haiñ is shahr meñ
sham hai shor hai lashkari mujh ko ghere hain is shahr mein
aur main sochta hun ki sab log mere hain is shahr mein
sehn-e-alam mein ek durbin se ulajhta hun main raat bhar
kahkashaen hain ya jugnuon ke basere hain is shahr mein
din ki unchi fasilon ne pahle to suraj ko andha kiya
aur ab raat ka waqt hai bas andhere hain is shahr mein
koh-e-afsurdagi shahr-e-jaan tere daman mein aabaad hai
kuchh parindon ke aur kuchh faqiron ke Dere hain is shahr mein
bhairwin ke suron mein bhajan gungunate hue sham ne
aasman ki rida par sitare bikhere hain is shahr mein
ek tilai chamak se bana hai ye duniya ka jadu-nagar
ek pari-zad ke 'ashiqon ke basere hain is shahr mein
rang raqsan hain aur kuchh basanti patangen hain lahore ki
kya dhanak mu-qalam ek musawwir ne phere hain is shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.