sham hote hi charaghon ko jalane wale
sham hote hi charaghon ko jalane wale
Iftikhar Shahid Abu Saad
MORE BYIftikhar Shahid Abu Saad
shaam hote hī charāġhoñ ko jalāne vaale
lauT ke aate nahīñ chhoḌ ke jaane vaale
tū mirī aañkh ko bhāyā hai mire dil ko nahīñ
tere atvār to lagte haiñ zamāne vaale
'umr bhar tujh ko mirā ḳhvāb nahīñ aa.egā
vasl kī shaam mirā hijr manāne vaale
ya.anī kuchh roz tujhe chhoḌ ke maiñ bhī ḳhush thā
mujh ko ye baat batāte haiñ batāne vaale
zindagī aaj tujhe chhoḌ diyā hai ham ne
ham nahīñ aaj tire naaz uThāne vaale
tū ne dekhī mire hāthoñ kī mahārat lekin
vo mire paañv mirā chaak ghumāne vaale
shauq-e-nazzāra liye aañkh kidhar jā.egī
husn vaale haiñ tire shahr se jaane vaale
ye bhī mumkin hai havā koī tamāshā kar de
ham tire naam kī sham.eñ haiñ jalāne vaale
sham hote hi charaghon ko jalane wale
lauT ke aate nahin chhoD ke jaane wale
tu meri aankh ko bhaya hai mere dil ko nahin
tere atwar to lagte hain zamane wale
'umr bhar tujh ko mera KHwab nahin aaega
wasl ki sham mera hijr manane wale
yani kuchh roz tujhe chhoD ke main bhi KHush tha
mujh ko ye baat batate hain batane wale
zindagi aaj tujhe chhoD diya hai hum ne
hum nahin aaj tere naz uThane wale
tu ne dekhi mere hathon ki mahaarat lekin
wo mere panw mera chaak ghumane wale
shauq-e-nazzara liye aankh kidhar jaegi
husn wale hain tere shahr se jaane wale
ye bhi mumkin hai hawa koi tamasha kar de
hum tere nam ki shamen hain jalane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.